Shah Rukh Khan E Om Shanti Om (Daastan) Ожидает модерации

00:00 / 07:09
Loading
Скачать
0
6
Тональность
0.0
+
Темп, %
0.0
+
Свойства файла: 16,3 Мб 320 кбит/с
Загружено: Ozodbek Mirzayev @ 12.12.24
  
Sunnewalon, suno aisa bhi hota hai
Dil deta hai jo woh jaan bhi khota hai
Pyar aisa jo karta hai, kya marke bhi marta hai
Aao tum bhi aaj sunlo
Dastaan hai yeh ke ek tha naujawan jo dil hi dil mein ek haseena ka tha deewana
Woh haseena thi ke jiski khubsoorti ka duniya bhar mein tha mashhoor afsana
Donon ki yeh kahani hai jis ko sabhi kehte hain Om Shanti Om

Naujawan ki thi aarzoo, uski thi yahi justuju
Us haseena mein usko mile ishq ke saare rang –o-hoor
Usne na jaana yeh naadani hai
Woh reth ko samjha ke paani hai
Kyun aisa tha kisliye tha yeh kahani hai…..
Dastaan hai yeh ke us dilkash haseena ke nigahon dil mein koi doosra hi tha
Bekhabar is baat se us naujawan ke khwabon ka anjaam toh hona bura hi tha
Toote khwabon ki is dastaan ko sabhi kehte hain Om Shanti Om

Sunnewalon, suno aisa bhi hota hai
Koi jitna hanse utna hi rota hai
Deewani hoke haseena khayi kya dhoke haseena
Aao tum bhi aaj sunlo
Dastaan hai yeh ke us masoom haseena ne jise chaha woh tha andar se harjaai
Sangdil se dil lagake bewafa ke haath aake usne ek din maut hi paayi
Ek sitam ka fasana hai jis ko sabhi kehte hain Om Shanti Om

Kyun koi qaatil samajhta nahin
Yeh jurm woh hai jo chhupta nahin
Yeh daag woh hai jo mit ta nahin
Rehte hain khooni ke raath par
Khoon us haseena ka jab tha hua
Koi wahan tha pahunch toh gaya
Lekin use toh bacha na saka
Roye tha pyar uski maath par
Dastaan hai yeh ke jo pehchaanta hai khooni ko woh naujawan hai lautke aaya
Keh rahi hai zindagi qaatil samajh le uske sar pe chha chuka hai maut ka saaya
Janmon ki karmon ki hai kahani jise kehte hain Om Shanti Om
kehte hain Om Shanti Om, kehte hain Om Shanti Om
Текст добавлен: Ozodbek Mirzayev